Zindagi Na Milegi Dobara Shayaris
Pighle neelam sa behta ye sama,Neeli neeli si khamoshiyan,
Na kahin hai zameen ,Na kahin aasmaan,
Sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,Keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
Sirf main hoon,Meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, Aur main…Sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.
Ek Baat Hoton tak hai jo aayi nahin
Bas aankhon se hai zaankti tumse kbhi…. mujse kbhi…. kuch lafj hai jo woh aangti
jinko pehnke kabhi hoton tak aa jaye wo..awaaj ki baho me bahe dalke ithlaaye wo
lekin jo ek baat hai…ehsas hi ehsaas hai
khushbo si hai… jaise hava me jo tairti,
khushboo jobhi awaaz hai…..
jiska pata tumko bhi hai…jiski khbar mujhko bhi hai
duniya se bhi chupta nahi…..ye na jane kaisa raaz hai!

Jab jab dard ka baadal chaya,Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya,Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya,Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai,Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain,Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa,Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai,Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai,
dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
nazar mein khwaabon ki beejliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna sikho

tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sikho
har ek lamhe se tum milo khole apni baahein

har ek pal ek naya samaa dekhiye
jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Comments
Post a Comment